1

Tujhe bhoolne ki koshish mein,
Jab dil ye zid pe aa gaya,
Main aankh moond ke baith gaya,
Tu khayaal pe phir chaa gayi…
Ye dhadkan kahin ruk jaaye naa,
Meri nabz Thehr naa jaaye kahin,
Tune Waqt kiya mera lamha lamha,
Magar maut ko aasaan bana gayi…
Meri har daleel ko kiya ansuni,
Meri fariyaad bhi to suni nahin,
Main Hairaan hu, haa Kuch Pareshaan hu,
Aisa Faislaa tu mujhe suna gayi…
Mujhe chaand ki kabhi talab na thi,
Mujhe suraj ki bhi fikar nahi,
Bas aankh kholna hi chahte the ham,
Magar Tu roshni hi bujha gayi…
Beshak bhoolna tujhe chaha bahut,
Hans kar kabhi, ro kar kabhi,
De kar ye aansuon ki saugaat mujhe,
Tu daaman apna bacha gayi

One Comment

  1. kalpesh on the 24. Mar, 2010 remarked #

    Ratoon ko jab bhi yaad unki aati hai
    Mujhae aur jyada tanha kar jaati hai

    Thak chuki hain ab to ankhen bhi meri
    Ye mujhae itna rula jaati hai

    Ruthi hai wo mujhsae kuch is qadar
    Na wo aati hai na ye tanhai jaati hai

    Ankhen band ho yaan khuli hoon meri
    Har su bas wo hi nazar aati hai

    Paa nahi sakta usko kabhi main ye jaanta hoon
    Fir bhi tujhae paane ki aas nahi jaati hai

Leave a Comment